Mohenjo Daro Information: wadi e Sindh ki ek qadeem tehzeeb ka aik markaz ta. Yee Larkana sy 20km door or Sukkur sy 80km janoob maghrib ma waqia hain. ye wadi e Sindh ki ek or aham Markaz sy 400 mile door hain ye shehar 2600 qabal masih tha aur 1700qabal drya-e-Sindh ke rukh ki tabdeeli ,sailab ,bairooni hamla awar ya zalzala aham wajuhat ho sakti hain.
Mohenjo Daro ko 1922 mai British experts asar-e-qadeema Sir John Marshall ne Daryaft kia aur un ki car aj be Mohenjo Daro kay ajaib ghar ki zeenat hai. Laken ek maktaba fikar aisa b hai jo is tasar ko ghalat samajtha hai aur us ka kehna hai ke isay Hindustan k mahir asar-e-qadeema RK Bhandar ne 1911 mai daryaft kia tha. MohenjoDaro conservation cell ke sabiq director Hakin Shah Bukhari ka kehna hai ke "RK Bhandar ne Buddism ke muqadas muqam ki hasiat se is Mohenjo Daro ki tareekhi hasiyat ki janib mabzool karwai, jis ke lag bag aik ashray baad SIr John Marshallyaha aye aur unho ne is jaga khudai shuru karwai."
MohenjoDaroo Sindhi zuban ka lafz hai jis ka matlab Mardo ka tayla hai. ye shehar bari tarteeb se bana hua tha.is shehar ki streets khuli aur seedhi the aur pani ki nakasi ka munasib intezam tha. Andazan is main 35000 ke qareeb log rehaish pazeer tay. Experts ke mutabik ye shehar 7 martaba ujra aur basaya gaya jis ki aham waja darya-e-Sindh ka sailab tha. Ye shehar united nation ke adara baraye taleem, Science aur Saqafat ki janib sy almi wirsa qarar diya gye muqamat main shamil hain.

No comments:
Post a Comment